-Jasmeet Singh
Munawar is a marvellous artist who has captured the hearts of many with his multifaceted talents. While his newly released album, “Madari,” has received immense praise, let’s not forget his exceptional talent for Shayari. His shayaris carry a deep emotional touch, and his verses leave an indelible mark on the soul, resonating with pain and longing. Let’s take a closer look at the heartfelt emotions he captures through his shayaris.
Tu behti nasi si hai,
Ruka hua hu mai,
Hai tu mukambal si,
Toota hua hu mai,
Na tere aage koi wajood hai mera,
Khazane si tu hai,
Aur loota hua hu mai.
Woh gham bhulane ko dete sharab kholke,
Par peena tere haath se tu,
Tu de zeher ko ghol k,
Kyu hichkiyaan, q yaadein, q chera na bhul pate,
Mujhko daily jaati aisi meri rooh jism ko chodke.
Sirf andaza lagana sahi nahi,
Kahani ab tak maine kahi nahi,
Jab acha waqt hoga, toh aajayege yeh saare,
Khair jamana hi aisa hai galti inki bhi nahi.
Kuch raasta likh dega kuch mai likh dunga,
Woh likhte jaaye mushkil mai manzil likh dunga,
Aashiyana banakar aasaman baatoge kaise,
Raakh ka phoenix tum mere par kaatoge kaise?
Waqif kitne dard liye chlta hu,
Tootta hu har subha jab aaina dekhta hu,
Jhoom ke chlta hu haske milta hu,
Mai roz aise kitno ko daga deta hu.
Sapne dekhta par chain se mai soya kab tha,
Hasa ke bhula aakhri baar mai roya kab tha,
Aa Jati raunak mehfilon mai mere naam se hi,
Itna nayab hu aaj daam koi laga nai sakta,
Gareeb bachpan se laagayi ek shrat hai,
Fareed sabse hu aawaz mai hi tark hai,
Fark hai mai chadta nahi bheed leke,
Akela haq pe mai paida hua reed leke.
Samandar ko kya gham hai bata bhi nahi sakta,
Samandar ko kya gham hai bata bhi nahi sakta,
Aasun bankar aankhon mai aa bhi nahi sakta,
Tu kahe toh ek zarne mai beh jau, warna toh koi toofan bhi mujhe hila nahi sakta.
Tu chod gaya mujhe, toh ismai teri khata kya, har koi mera saath nibha bhi nahi sakta